Saturday, April 27, 2013

Guzarish nahi rahi....

वक़्त के साथ पैरों में यूँ तो लर्ज़िश नहीं रही......
पर तेरे जाने के बाद सीने में कोई ख्वाहिश नहीं रही.......

है ज़िन्दगी मेरी  खुशनुमा दुनिया के वास्ते......
पर तू नहीं तो इसकी भी नुमाइश नहीं रही........

लरजते हुए होंठों में क़ैद लव्ज़ यूँ तो हज़ार हैं.....
फिर भी तेरे मुक़ाबिल कोई गुज़ारिश नहीं रही......

 जब से कहा है सिफ़र खुद को सिफ़र  ने.....
दुनिया की मुझपे कोई आज़माइश नहीं रही.........

अब के टूटे तो संवर न पाएंगे कभी.....
उन मरासिमों में अब कोई गुंजाईश नहीं रही.......

Monday, March 25, 2013

Shiddat ki Badduaon ka ye Asar Ho Gaya.....     Jo main kuch na ho saka to Main Sifar ho gaya......


Mere Naseeb me kya paiband koi kam the...     ke us Shakhs ka bhi ab main Muqaddar ho gaya.....


khoob hua ke mujhse Darti hai sari Duniya....     Par Pyas kyun na Bujhti ke main Samndar ho gaya...


Ye siyasaten hain meri kya khoob Tazposhi...    Lashen kaieen Bichha ke main Sikandar ho gaya....


Jo bhi mile hain mujhse Sare hain Gam ke Mare....gam unka bhulane ko main khud Mayssar ho gaya......

Saturday, March 2, 2013

Malaal....

khush to ab bhi nahin hoon e zindagi tujhse.......
 hai ab bhi Malal mere wahan na hone ka.......
mere ashq meri taqat hai ye kaise kahoon tujhse......
kah do...koi saleeqa na sikhaye hume rone ka.........
kali raaten jo hansti hai mujhpe.... koi kahe usse.....
hai Tazurba mujhe bhi raaton ko sone ka.....
ek waqt tak hi rahti hai Kshish aur deewangi lekin....
toot jana hi naseeb hota hai har khiloune ka......
tum kya jano ke kyun ye hansi rahti hai lab par.....
bada maza hai huzur sifar se mil kar....sifar hone ka....

Tuesday, February 26, 2013

I feel....

In ....last few days with my family i feel that my family feel batter compiltion without me....and i think they are right because i feel Ego.....and they feel Super Ego in MSW i learned about both of Above......
Muqabil unke main kabhi Khada ho na saka.....
Faqat isi khatir unki nazron me bada ho na saka....
Duniya daari kabhi samjh aayi nahin shayad mujhko.....
main meetha to khoob hua magar bheetar se Sada ho na saka.....

Saturday, December 22, 2012

Aadhe se Adhoore se....

mere kuch aadhe adhoore sher jo main waqt ke sath poore na kar saka.....

Raston ka shouk hua is Qadar Sifar.......
mazil to mil gayi par Rahbaron ki talash hai......


Waqt Accha tum se hai ya tum acche waqt me ho......
dono aate bhi sath ho aur jate bhi sath ho..........


ek to de dale gum tamam mujhko....
aur fir usne muhje khush mijaz kar diya.....



kabhi kabhi ye dil wo kyun sochta hai.....jise dil sochna nahin chata.......
kyun hai parshan un sawalon ke liye....Jawab jinke too khojna nahin chahta....





kitna tanha hai ye din.... kitni adhoori raat hai......
ktna khush tha main e Dost...abhi Kal ki to baat hai........
Sab chhod kar chale gaye aur Khwab Sare le gaye...
jo kah rahe the pahle ke Umar bhar ka sath hai......



Dekh kar mujhe aaj Dair o haram Khamosh hai.....
Ab sab samjh gaye k Sifar BalaaNosh hai......

Monday, July 30, 2012

Ho Nahin Pata....

The Biggest Problem of my life at Present that "I m Grown up......"
kya hua hai, kisi ko ye kah nahin Pata....
main Muskura to leta hoon magar Khush ho nahin pata.....
muqammal hai zindgi hai aur neend bhi shayad...
par kuchh jagta rahta hai andar jo so nahin pata....
ye shab-o-roz ka jhagada jo darmiyan hai mere...aur bass mere...
roz lagti hai Adalat par faisla ho nahin pata....
hai ye tazurba umar daraz logon ka......
ye khwab tab tak hi rahte hain jab tak k koi so nahin jata....
kyun rah jati hai roz sanse aadhi aadhi si.....
kyun meri tarah e dil "SIFAR" ho nahi jata......

Saturday, June 30, 2012

Too khush kaise rah leti hai......

Ek Kavita jo 2007 me Likhi thi......aaj Purani kitabon me mili.......

Baad ye sab kuch kahne ke.....
Dard ye sare sahne ke....
Bin Shringaar ,bin gahne ke......
Too chup kaise rah leti hai......Too khush kaise rah leti hai.......
Sapna koi sakar nahin....
Kuch duniya ka aakar nahin.....
Jab prem tera Vyapaar nahin...
to kis Dhan me Bah leti hai.....
Too Khush kaise rah leti hai.......
Koi sath mere ye kar jata....
Main to jeete jee mar jata....
par ye to kabhi na kar pata...
jo too hans ke kar leti hai......
Too khush........
Apne dooje ka bodh nahin....
Aankhon me koi krodh nahin...
Bin mere kahain Pramod nahin....
Mujhme kaise Jee leti hai....
Too khush.......
Mujhko prem Agaadh milega.....
Har Jeevan ''MERA'' sath milega..
Kabhi to sukh ka swaad milega......
Ye Antarman se kah leti hai....
Too khush kaise......
Mujhsa jo koi Paap kare.......
Aur Ishwar jo Insaaf kare...
Chir Mrityu tak na maaf kare...
Fir too kaise kar leti hai.......
Too khush .....
Kahne ko bas ek Naari hai....
par dil kahta Awtaari hai.....
Ye Swarg ki sab taiyyari hai....
Fir Paap Puny kyun kah deti hai......
Too khush kaise rah leti hai.......