Monday, March 25, 2013

Shiddat ki Badduaon ka ye Asar Ho Gaya.....     Jo main kuch na ho saka to Main Sifar ho gaya......


Mere Naseeb me kya paiband koi kam the...     ke us Shakhs ka bhi ab main Muqaddar ho gaya.....


khoob hua ke mujhse Darti hai sari Duniya....     Par Pyas kyun na Bujhti ke main Samndar ho gaya...


Ye siyasaten hain meri kya khoob Tazposhi...    Lashen kaieen Bichha ke main Sikandar ho gaya....


Jo bhi mile hain mujhse Sare hain Gam ke Mare....gam unka bhulane ko main khud Mayssar ho gaya......

Saturday, March 2, 2013

Malaal....

khush to ab bhi nahin hoon e zindagi tujhse.......
 hai ab bhi Malal mere wahan na hone ka.......
mere ashq meri taqat hai ye kaise kahoon tujhse......
kah do...koi saleeqa na sikhaye hume rone ka.........
kali raaten jo hansti hai mujhpe.... koi kahe usse.....
hai Tazurba mujhe bhi raaton ko sone ka.....
ek waqt tak hi rahti hai Kshish aur deewangi lekin....
toot jana hi naseeb hota hai har khiloune ka......
tum kya jano ke kyun ye hansi rahti hai lab par.....
bada maza hai huzur sifar se mil kar....sifar hone ka....