Monday, March 25, 2013

Shiddat ki Badduaon ka ye Asar Ho Gaya.....     Jo main kuch na ho saka to Main Sifar ho gaya......


Mere Naseeb me kya paiband koi kam the...     ke us Shakhs ka bhi ab main Muqaddar ho gaya.....


khoob hua ke mujhse Darti hai sari Duniya....     Par Pyas kyun na Bujhti ke main Samndar ho gaya...


Ye siyasaten hain meri kya khoob Tazposhi...    Lashen kaieen Bichha ke main Sikandar ho gaya....


Jo bhi mile hain mujhse Sare hain Gam ke Mare....gam unka bhulane ko main khud Mayssar ho gaya......

No comments:

Post a Comment