Tuesday, December 13, 2011

Kyun hai.......

Jab mukammal hai eemarat to fir deewar kyun hai.....
6 din hi bhale hain to fir ye shaniwar kyun hai........
har ek chhez bik rahi hai harek shah pe .....
samajh nahin aata fir ye bazar kyun hai.....
dilo me hai gar bair itna darmiya e Sifar....
kyun bane ho insaan aur ye Pariwar kyun hai....
wahi hai roz ka rona aur wahi kahan hai....
kyun thame hain hath me panne ye Akhabaar kyun hai....
wahan na rupya lage hai...na jeb hote kafan me......
fir paison pe har ek shaks ko aitbaar kyun hai.....
jis zamane ko chhod sifar ho gaya Sifar.....
us zamane se hi mahboob ko itna pyaar kyun hai.....

Friday, September 30, 2011

kabhi...to....

kabhi to sunta wo meri sadayen bhi..........
to zaya nahin jati meri wafayen bhi.....
shabo roz ki uljhane khatm ho jati.......
zamana dekhta fir...meri adayen bhi.........
yun to Aazmaishon se marasim toot jate hain....
par chata tha ke wo kabhi to aazmayen bhi.......
dil mera to Gulzar ho jata hai dekh ke usko.......
koi kahe ke wo mujhe dekh....muskurayen bhi.......
mera naam yun to badnami ka sabab hai....
par jo poochhe to naam Sifar batyen bhi.....

Thursday, August 18, 2011

Rahta hai

Jane kaise sang zamane ke Bhagta rahta hai....
mere sone ke baad bhi koi Jaagta rahta hai.....
Jism ki dooriyan Muqammal ho nahi pati.....
Par dilon ki dooriyan jane kyaon Naapta rahta hai...
Umr ka koi paydaan maine Chua nahin abhi tak....
Par jane kyun dil aage ki soch Kanpta rahta hai......
Mout ka Waqt Muqarrar hai to batata kyon nahin......
Ye maasoom sifar ro ro ke din katta rahta hai....
ab talak koi bhi to khush nahin kar saka zamane ko.....
Fir kyun Ae Sifar Duniya ke isharon pe Nachta rahta hai......

Wednesday, June 1, 2011

Kabhi shoukh samanndar,kabhi khamosh sahara rahta hai...
meri aankhon me ab bhi koi khwab sunahara rahta hai.....
bandishen mujhko ab talak dum todne nahin deti.....
dil ki dhadkano pe ab teri yaadon ka pahra rahta hai....
dil ki aawazen bhi ab usko sunai nahin deti....
ya neele aasman ke upar bhi koi Goonga bahra rahta hai...
Aangan ki mitti se aati hai tbhi tak soundhi Khushbu.....
jab talak ghar me betiyon ka basera rahata hai.....
Rishton ki tabiyat Nadiyon se alhada hai Sifar....
ye dariya kinaron pe zada gahra rahta hai....

Wednesday, May 25, 2011

Fark na pada......

Main kitna hua pareshan.....
use fark na pada....
kahan ka dil,kahan ki jaan.....
use fark na pada.....
tadapte rah gaye armaan....
use fark na pada.....
kis muhabbat ka imtehan....
use fark na pada.....
thak gayi meri zuban....
use fark na pada.....
wo kahe ka kadr daan......
jab use fark na pada.....
kho gaya mera parwan.....
jab use fark na pada.....
kounsi udaan aur kaisa aasmaan....
jab use fark na pada.....
kho gaya mera bhi eemaan....
use fark na pada.....
ab to main bhi na raha Insaan .....
use fark .......na....pada...

na paunga.....

zindagi tanha guzarni hai tumhe...
ab aur sath tumhare main chal na paunga.....
thokron se seekha hai bhale chalna lekin....
ab jo lagi thokar to sambhal na paunga....
mere halaton ne badal diya kirdaar mera...
ab maan main us tarah bahal na paunga....
ab isi tarah hogi zindagi ki shamo-sahar.....
khanjar se bhi lakeeron ko badal na paunga....
naseeb-e-khar hai to khar ise rahne de.....
ab kahan koi shokh kanwal paunga.....
channd sher jo bikhre pade teri zulf ki manind....
mera naseeb hai Sifar ke pad gazal na paunga......

Saturday, May 7, 2011

waqt ne jo di thi wo sougat na rahi .....


ab mere rishton me wo baat na rahi......


ho gaya hoon tanha sifar ho gaya hai sab....


ab sath mere doston ki wo barat na rahi......


ashq jam se gaye hain aankhon me meri.....


baccho ki tarah rone wali barsaat na rahi....


muhabbat ke dino me har sham suhani hoti thi.....


ab mere hisse me sukhan ki raat na rahi....



Thursday, April 28, 2011

ab se pahle dil par koi ilzam na tha.....
gumnami me khush tha...kyun ke badnaam na tha...
ab to yakin ho gaya mujhko bhi meri mout par....
waise pahle bhi saanson pe ahatraam na tha..
aagaz tha mere haathon ki laqeeron me....
kar yaqeen mere haathon me anjaam na tha...
gulshan ko seencha jisne apne lahu se.....
sifar ho gaya sab bahar ke waqt wo gulfaam na tha.....

Friday, April 8, 2011

tere jane se....

jo na ho saka kambakhat zamane se..... wo ho gaya faqat tere jane se.... kar diya dafan har ek armaan kabar me.... dua salaam bhi na ho saki zamane se... khuda tha naraz,kyonke khuda tujhe mana tha... jane kya ho gayi khata is deewane se... paas raho tum ya naraz raho,tumhari marzi... tum ne dil hi kahan lagay is anjaane se... teri khushi se tabiyat sabz rahti hai meri.... zakhm bhi khush ho jate hain tere muskurane se... mout bhi kar le muqarrar,ab koi gam nahin... zindagi mushkil lagti hai hume mar jane se.... mali hai hairan,aur khuda pareshan hai.... bhnwra ek mar gaya hai,phool ke muirjhane se.... ab ke roothe to bahot door ho gaye.... wo jo maan jate the aksar bas manane se.... ho gaya tazurba "sifar" hasil hua hai..... toot jate hain rishte aksar aazmaane se....

Saturday, March 26, 2011

na aai....

khuda ke paas mere liye shayad koi dua na aai........


hazaron baar pukara lout ke koi sada na aai....


yun to raha zahan me sara jahan hamesha...


par kabhi yun bhi hua ke tere siwa kisi ki yaad na aayi.......


Sunday, March 13, 2011

batata kyun nahi....?

Gar hai taqraar zamane se to jatata kyun nahin....
too chahta kya hai e dil batata kyun nahin....
nahi hai aitbaar jab tere ashq pe kisi ko....
to ho ke sifar mahfil me muskurata kyun nahi...
hai khouf gar rishton ke toot jane ka....
to ek baar sanam ko too bhi aazmata kyun nahi....
zindagi jee nahin jati jab kisi ki sharton pe...
to kambakht kyun ginta hai saanse mar jata kyun nahi.....
rkhat hai housala jab duniya ko sunane ka....
to kyun hai khaamosh kuch sunata kyun nahin....

Friday, February 25, 2011

main chahta hoon.....

bojh palkon ka ab saha nahin jata,
ek lambi neend main sona chahta hoon....
channd lamhon ko tum khuda ho jao,
main tumse lipatkar rona chahta hoon....
jism ki nate dari ka kayal nahin hoon main....
main to apni rooh ko teri rooh me pirona chahta hoon...
khushk mousam sa khushq daman hai mera....
main tere ashqon se khud ko bhigona chahta hoon....
tairne ka Hunar such maan musibat hai meri...
main khud ko tere pyar me dubona chahta hoon....
ab talak khoya raha duniya ke tane baano me....
ab sirf tere gesuon me khona chahta hoon.....
hoon jo zinda to wazood yahan wahan rahta hai....
main ban ke Sifar bas tere har or hona chahta hoon.....

Thursday, February 10, 2011

marasim

Teri yaadon ka meri raaton se marasim kya hai.......
Kabhi to sadiyo me katati hai...kabhi pal me shahr hoti hai......

Rukhsat.....

Kya wo rukhsate yaar ki ghadi thi....
hansati hui raat bhi ro padi thi....
hum khud hi to hue barbaad humari muhabbat me....
warna duniya ko humari kya padi thi......

Wednesday, February 2, 2011

sadayen....

kitani masoom si sadayen dedi...
mujhe tohfe me usne sard hawayen dedi...
kuch dene ko paas na tha shayad uske....
mujhko lamhon me barson ki wafayen dedi....
maine mange the gam uske chehre ke...
usne muskurane ki sari adayen dedi....

Monday, January 24, 2011

ज़रूरत क्या थी.....?

baton baton me baat badane ki zarurat kya thi...
nahin tha pyar to jatane ki zarurat kya thi....
main to pahle hi duniya ki bewafai se pareshan tha...
baaten wafa ki mujhko sunane ki zarurat kya thi....
the aur bhi log zamane me mere siwa....
bass meri hi taraf haath badane ki zarurat kya thi.....
main bhi jii leta andheron me auron ki tarah....
dil me jala ke chiraag bujhane ki zarurat kya thi....
maat thi meri har ek shah pe tha pata mujhe.....
maat ko meri mout banane ki zarurat kya thi......

Friday, January 21, 2011

अधूरी थी......

बातें मेरी और तुम्हारी तो अभी अधूरी थी.....
चल दिए बिन बताये ऐसी क्या मजबूरी थी....
वक़्त का था ये फैसला या कोई और बात थी.....
तुम्हारी थी ज़िन्दगी पर औरों के लिए भी ज़रूरी थी.....

Tuesday, January 4, 2011

fitoor....

ऐ खुदा इश्क को मेरे फितूर करदे......
उसको भी हो मुझपे गुरूर... कर दे....
न देख पाऊँ मीरा और कबीर की तरह....
तू उसे श्याम और मुझे सूर करदे......
है मरासिम ये अटूट सब को पता है.....
तो करदे उसे शराब मुझे सुरूर करदे....
न रह पाउँगा बिन उसके तेरी दुनिया में....
कुछ तो कर ऐ खुदा कुछ तो ज़रूर करदे......
गुमनामियां हासिल हैं बस अब तलक ज़माने में.....
मजनू राँझा फरहाद और अब मुझे तू मशहूर कर दे......