Tuesday, March 31, 2015

Muddaton baad tere khwaab se Aazad hua....
kitna Roya Jane kitna Nasaad hua...

Malaal ye nahin ke koi Gul Nahin Daman me Uske...
Gum is baat ka ke Bagbaa'n kyun Barbaad hua..

Wo.... jo Bichha kar gaya tha kante  Raahon me...meri
Baad arson ke meri Duao'n se hi Dilshaad hua...

Shahar e sifar ko bhi nazar lag gayi uski...
ek uske baad koi nahi Aabaad hua...

Zindagi pahle si ab muskurati kyun nahin....
ya Iske badle mout hi aajati kyun nahin....

Aazmaishen hain zaroori gar zindagi me tazurbon ke liye..
to ye saasen mujhe kasouti pe Aazmati kyun nahin....

tere jalwe hain zindagi to dikha mujhko bhi khul ke...
tu apne hunar pe dil khol ke Itrati kyun nahin....

wo jo mere tabssum se aagaz karti thi har subah...
mere muskurane pe mere sath ab muskurati kyun nahin...

dilon me basa tha wohi shaks Sifar hai ab tak....
meri koi baat tere dil ko ab suhati kyun nahin.....

Monday, March 30, 2015

Fitrat E InsaN to dekhiye Rahbaron se khel lete hain....
jaise qatre aag ke lakdi ke gharon se khel lete hain....
Ameere shahar me hoti hai Darqaar Khilouno ke....
Humare gaon me bachhe pattharon se khel lete hain....

Ajab hai rabta darmiyan dono ke sadiyon se....
ye Husn wale aksar...Dilbaron se khel lete hain....

Fitraton se hota hai ya shouk se kahiye....
kali badliyon ke tukde....Banjaron se khel lete hain....

kisi shakhs ki koi bisaat nahi hoti yahan Sifar....
Ye Khudai ke Karishme ...Muqaddaron se khel lete hain....