Monday, July 30, 2012

Ho Nahin Pata....

The Biggest Problem of my life at Present that "I m Grown up......"
kya hua hai, kisi ko ye kah nahin Pata....
main Muskura to leta hoon magar Khush ho nahin pata.....
muqammal hai zindgi hai aur neend bhi shayad...
par kuchh jagta rahta hai andar jo so nahin pata....
ye shab-o-roz ka jhagada jo darmiyan hai mere...aur bass mere...
roz lagti hai Adalat par faisla ho nahin pata....
hai ye tazurba umar daraz logon ka......
ye khwab tab tak hi rahte hain jab tak k koi so nahin jata....
kyun rah jati hai roz sanse aadhi aadhi si.....
kyun meri tarah e dil "SIFAR" ho nahi jata......