Wednesday, July 8, 2015

In aankhon me Jane kaisi khumari rahati hai...
tum nahin fir bhi harsu tasweer tumhari rahti hai....


har marz ka ilaaj haqeemi se ho zaroori kahan .....
aashiqi to laailaaj beemari rahti hai....


tum bhi ab in galiyon me nazar nahin aate...
wahan koun jata hai jahan Udhari rahti hai...


naa paar hone ka shouk na tairaki ka Hunar...
Doob jate hain wo jinme wazandaari rahti hai...


क्यों किसी को  हाल ऐ दिल सुनाया जाये …
अपने ही ज़ख्मों को क्यों न कुरेद के पकाया जाए..

दिल हो दर्द में तो सुकूँ मिलता है...
क्यों ना बागे दिल में शजर दर्द का लगाया जाये …


जब सुकून यहीं है दरे ख़ुदा से ज़्यादा ....
ये जो बाक़ी है जगह यहाँ मैख़ाना बनाया जाये ....


अभी बातों में फरेब है और अधूरी है…
सिफ़र ऐ यार को एक जाम और पिलाया जाये ....

Tuesday, March 31, 2015

Muddaton baad tere khwaab se Aazad hua....
kitna Roya Jane kitna Nasaad hua...

Malaal ye nahin ke koi Gul Nahin Daman me Uske...
Gum is baat ka ke Bagbaa'n kyun Barbaad hua..

Wo.... jo Bichha kar gaya tha kante  Raahon me...meri
Baad arson ke meri Duao'n se hi Dilshaad hua...

Shahar e sifar ko bhi nazar lag gayi uski...
ek uske baad koi nahi Aabaad hua...

Zindagi pahle si ab muskurati kyun nahin....
ya Iske badle mout hi aajati kyun nahin....

Aazmaishen hain zaroori gar zindagi me tazurbon ke liye..
to ye saasen mujhe kasouti pe Aazmati kyun nahin....

tere jalwe hain zindagi to dikha mujhko bhi khul ke...
tu apne hunar pe dil khol ke Itrati kyun nahin....

wo jo mere tabssum se aagaz karti thi har subah...
mere muskurane pe mere sath ab muskurati kyun nahin...

dilon me basa tha wohi shaks Sifar hai ab tak....
meri koi baat tere dil ko ab suhati kyun nahin.....

Monday, March 30, 2015

Fitrat E InsaN to dekhiye Rahbaron se khel lete hain....
jaise qatre aag ke lakdi ke gharon se khel lete hain....
Ameere shahar me hoti hai Darqaar Khilouno ke....
Humare gaon me bachhe pattharon se khel lete hain....

Ajab hai rabta darmiyan dono ke sadiyon se....
ye Husn wale aksar...Dilbaron se khel lete hain....

Fitraton se hota hai ya shouk se kahiye....
kali badliyon ke tukde....Banjaron se khel lete hain....

kisi shakhs ki koi bisaat nahi hoti yahan Sifar....
Ye Khudai ke Karishme ...Muqaddaron se khel lete hain....

Wednesday, December 10, 2014

Meri Ragon se jaise lahoo ki rawani le gaya..Ajeeb chor tha wo....Aankho'N ka pani le gaya...

khuda ne jo Bakshi thi Tabssum mujhko..
Wo Hunarbaaz meri wo taqat aasmani le gaya....


jin par tha guroor mujhko aur milne walon ko...
Wo lamhon me meri Barson ki Be eemani le gaya...


jee leta Shayad ho ke sifar usi ke aks ke sath....
bichhdte waqt wo maasumiyta se meri kahani le gaya....


Thursday, October 9, 2014

Dil Zaar ho kar bhi muskurata hai jahan....
main jahan hoon .....kabhi aao to wahan....

Doob kar jeena aur rahna andheron me......
mere sath apna aashiyana basao to yahan....
main jahan hoon kabhi aao to.....

Sab ko talash hai mahfile- hazraat ki......
gard hi gard ho hunar kabhi aazamao to wahan.....
main jahan hoon kabhi.....

Tanhaiyon ki goonj aur sannaton ka shor hai....
apne haathon se charaagon ko kabhi jalao to wahan...
main jahan hoon kabhi aao to wahan....