Wednesday, March 21, 2012

Bhool Jayegi Ek Roz Mujhe Bhi Duniya......
Aakhir Main Bhi to Insaan hoon koi "KHUDA" to nahin.....

Monday, February 27, 2012

Ro nahin pata.....

ab main raaton ko chain se so nahin pata.....
bada jo ho gaya hoon to ab Ro nahin pata....
purani yaaden to ab talak saath hain mere...
ab to ek pal bhi aankho me sanjo nahin pata...
kho na jaun maa ka hath chhhotne se darta tha ek umr tak to...
ab itna door hoon fir bhi kyun main kho nahin pata...
us dour me to ro leta tha phoot phoot kar...
ab to ek daag bhi ashqo se dho nahin pata...
har ek cheez mil rahi hai kadam dar kadam..
par wo ek khwab ab talak muqammal ho nahin pata....
ab talak hai pyaas Sifar ko Sifar hone ki....
jane kyun mujhse mil ke koi ab Sifar ho nahin pata....

Tuesday, December 13, 2011

Kyun hai.......

Jab mukammal hai eemarat to fir deewar kyun hai.....
6 din hi bhale hain to fir ye shaniwar kyun hai........
har ek chhez bik rahi hai harek shah pe .....
samajh nahin aata fir ye bazar kyun hai.....
dilo me hai gar bair itna darmiya e Sifar....
kyun bane ho insaan aur ye Pariwar kyun hai....
wahi hai roz ka rona aur wahi kahan hai....
kyun thame hain hath me panne ye Akhabaar kyun hai....
wahan na rupya lage hai...na jeb hote kafan me......
fir paison pe har ek shaks ko aitbaar kyun hai.....
jis zamane ko chhod sifar ho gaya Sifar.....
us zamane se hi mahboob ko itna pyaar kyun hai.....

Friday, September 30, 2011

kabhi...to....

kabhi to sunta wo meri sadayen bhi..........
to zaya nahin jati meri wafayen bhi.....
shabo roz ki uljhane khatm ho jati.......
zamana dekhta fir...meri adayen bhi.........
yun to Aazmaishon se marasim toot jate hain....
par chata tha ke wo kabhi to aazmayen bhi.......
dil mera to Gulzar ho jata hai dekh ke usko.......
koi kahe ke wo mujhe dekh....muskurayen bhi.......
mera naam yun to badnami ka sabab hai....
par jo poochhe to naam Sifar batyen bhi.....

Thursday, August 18, 2011

Rahta hai

Jane kaise sang zamane ke Bhagta rahta hai....
mere sone ke baad bhi koi Jaagta rahta hai.....
Jism ki dooriyan Muqammal ho nahi pati.....
Par dilon ki dooriyan jane kyaon Naapta rahta hai...
Umr ka koi paydaan maine Chua nahin abhi tak....
Par jane kyun dil aage ki soch Kanpta rahta hai......
Mout ka Waqt Muqarrar hai to batata kyon nahin......
Ye maasoom sifar ro ro ke din katta rahta hai....
ab talak koi bhi to khush nahin kar saka zamane ko.....
Fir kyun Ae Sifar Duniya ke isharon pe Nachta rahta hai......

Wednesday, June 1, 2011

Kabhi shoukh samanndar,kabhi khamosh sahara rahta hai...
meri aankhon me ab bhi koi khwab sunahara rahta hai.....
bandishen mujhko ab talak dum todne nahin deti.....
dil ki dhadkano pe ab teri yaadon ka pahra rahta hai....
dil ki aawazen bhi ab usko sunai nahin deti....
ya neele aasman ke upar bhi koi Goonga bahra rahta hai...
Aangan ki mitti se aati hai tbhi tak soundhi Khushbu.....
jab talak ghar me betiyon ka basera rahata hai.....
Rishton ki tabiyat Nadiyon se alhada hai Sifar....
ye dariya kinaron pe zada gahra rahta hai....

Wednesday, May 25, 2011

Fark na pada......

Main kitna hua pareshan.....
use fark na pada....
kahan ka dil,kahan ki jaan.....
use fark na pada.....
tadapte rah gaye armaan....
use fark na pada.....
kis muhabbat ka imtehan....
use fark na pada.....
thak gayi meri zuban....
use fark na pada.....
wo kahe ka kadr daan......
jab use fark na pada.....
kho gaya mera parwan.....
jab use fark na pada.....
kounsi udaan aur kaisa aasmaan....
jab use fark na pada.....
kho gaya mera bhi eemaan....
use fark na pada.....
ab to main bhi na raha Insaan .....
use fark .......na....pada...