Saturday, June 30, 2012

Too khush kaise rah leti hai......

Ek Kavita jo 2007 me Likhi thi......aaj Purani kitabon me mili.......

Baad ye sab kuch kahne ke.....
Dard ye sare sahne ke....
Bin Shringaar ,bin gahne ke......
Too chup kaise rah leti hai......Too khush kaise rah leti hai.......
Sapna koi sakar nahin....
Kuch duniya ka aakar nahin.....
Jab prem tera Vyapaar nahin...
to kis Dhan me Bah leti hai.....
Too Khush kaise rah leti hai.......
Koi sath mere ye kar jata....
Main to jeete jee mar jata....
par ye to kabhi na kar pata...
jo too hans ke kar leti hai......
Too khush........
Apne dooje ka bodh nahin....
Aankhon me koi krodh nahin...
Bin mere kahain Pramod nahin....
Mujhme kaise Jee leti hai....
Too khush.......
Mujhko prem Agaadh milega.....
Har Jeevan ''MERA'' sath milega..
Kabhi to sukh ka swaad milega......
Ye Antarman se kah leti hai....
Too khush kaise......
Mujhsa jo koi Paap kare.......
Aur Ishwar jo Insaaf kare...
Chir Mrityu tak na maaf kare...
Fir too kaise kar leti hai.......
Too khush .....
Kahne ko bas ek Naari hai....
par dil kahta Awtaari hai.....
Ye Swarg ki sab taiyyari hai....
Fir Paap Puny kyun kah deti hai......
Too khush kaise rah leti hai.......

Thursday, May 3, 2012

Duniya dari…log jo sare kahte hain, kahne do………


mujhko lekin mere haal me rahne do……

ek muqammal sa khayal hain tabiyat meri…

mere ranj-o-gam sath mere hi rahne do…

main ek shiddat ka pyasa hoon to koi baat nahin

mujhe tisnagi ka ye paimana aur tanhai sahne do…

ho mubarak tumhe ye khushiyon ka samandar….

main ek Qatra-e-Sahra hoon tanha bahne do...

meri Khamosh sard aahen mera sahara hain…

mere hathon ki lakeeron ko hi sab kahne do…..

nahin mangi hai ab talak aur na mangunga…..

ye wafayen Jafayen aur duayen bhi....tum apne paas hi rahne do....

Friday, April 20, 2012

Basar Hota hai.....

Maine mana ke baaton ka  asar hota hai....
Par ye nahin janta ke kab aur kidhar hota hai...
Tukde mere wazood ke jane kahan kahan hai....
Jahan tu tera khayal hai.....har Qatra udhar hota hai.....
Ab tu nahin....tujhse koi Marasim bhi to nahin.....
Har ek Lamha bass Khayalon me Basar hota hai......
Duniya badi rangeen hai mujhko bhi tha Gumaan......
Par janta nahin tha ka Kahan Rang-e- Sifar hota hai...... 

Monday, April 2, 2012

Main Ye Nahin Kahta Ke Imtehaan Na Ho.....
Par Jisse Ho Muqabla Wo Faqat Insaan Na Ho.....
Ho Is Qadar Zindagi Ka Baki safar.....
Ke Bhale Manzil Na Ho Par Koi Armaan Na Ho......
mil jay muqammal mout ye kafi hai mere liye.....
fir kya pade farq jo Janze me insaan na ho....
har ek ashq tera har guncha tere naam hai......
main ye sochta hoon ab ke duniya me mera kya kaam hai......
saanso ka toot jana bhi jane kis baat pe ruka hai...
khuda ka hai bharam ya......tera ehatraam hai.....
wo kah raha tha dard tamam umr ka aise....
aur kah raha tha ke Jeena isi ka naam hai.....
ek kaish(Majnu) jo mout bhi aasan samjhe hai Ishq me....
aur duniya ye kah rahi hai ....ke Tamam kaam hai....
jee zindagi humesha jeet jane ke waste....
sifar thi zindgi aur Sifar hi anjam hai..... 

Wednesday, March 21, 2012

Bhool Jayegi Ek Roz Mujhe Bhi Duniya......
Aakhir Main Bhi to Insaan hoon koi "KHUDA" to nahin.....

Monday, February 27, 2012

Ro nahin pata.....

ab main raaton ko chain se so nahin pata.....
bada jo ho gaya hoon to ab Ro nahin pata....
purani yaaden to ab talak saath hain mere...
ab to ek pal bhi aankho me sanjo nahin pata...
kho na jaun maa ka hath chhhotne se darta tha ek umr tak to...
ab itna door hoon fir bhi kyun main kho nahin pata...
us dour me to ro leta tha phoot phoot kar...
ab to ek daag bhi ashqo se dho nahin pata...
har ek cheez mil rahi hai kadam dar kadam..
par wo ek khwab ab talak muqammal ho nahin pata....
ab talak hai pyaas Sifar ko Sifar hone ki....
jane kyun mujhse mil ke koi ab Sifar ho nahin pata....